ai dost! teri aankh jo nam hai to mujhe kya main khub hansunga tujhe gham hai to mujhe kya kya main ne kaha tha ki zamane se bhala kar ab tu bhi sazawar-e-sitam hai to mujhe kya han le le qasam gar mujhe qatra bhi mila ho tu shaki-e-arbab-e-karam hai to mujhe kya jis dar se nadamat ke siwa kuchh nahin milta us dar pe tera sar bhi jo kham hai to mujhe kya main ne to pukara hai mohabbat ke ufaq se raste mein tere sang-e-haram hai to mujhe kya bhula to na hoga tujhe suqraat ka anjam hathon mein tere saghar-e-sam hai to mujhe kya patthar na paden gar sar-e-bazar to kahna tu motarif-e-husn-e-sanam hai to mujhe kya main sarmad o mansur bana hun teri khatir ye bhi teri ummid se kam hai to mujhe kya