jo yaad-e-yar se guft-o-shunid kar li hai to goya phul se khushbu kashid kar li hai judaiyon mein bhi dhundi hain qurbaten main ne zarar-rasan thi jo shai wo mufid kar li hai nahin khule the jo manzar meri basarat par tasawwuraat mein un ki bhi did kar li hai sitare tank diye hain falak ki chadar par aur apni chadar-e-shab be-nawid kar li hai main chahta to use kuchh qarib le aata masarraton ki jo saat baid kar li hai use to dukh hi nahin kuchh meri judai ka saza khud apne liye hi shadid kar li hai use bhulane ki koshish mein yaad kar kar ke khud apni zist hi mushkil mazid kar li hai husain ibn-e-ali ki taraf hi lautenge jinhon ne baiat-e-fikr-e-yazid kar li hai ata-e-'mir' hai mujh par ki main ne bhi raushan ghazal ki shama ba-tarz-e-jadid kar li hai jacha hai ab kahin ja kar 'nasim' jama-e-zist kahin kahin se jo qat-o-burid kar li hai