ai dost ek ajib sa manzar liye phira honton pe tishnagi ka samundar liye phira aab-e-hayat pi na sake tishna-kaam log main shah-rah pe shisha-o-saghar liye phira zahmat na ki samajhne ki ahl-e-dayar ne apni mata-e-fikr sukhan-war liye phira tera khayal tera tasawwur tamam umr mujh ko dayar-e-ghair mein dar dar liye phira hai waqt kis ke pas ab itna jo padh sake afkar ka main chehre pe daftar liye phira shayad ki koi ek bhi pahchan le mujhe main apne is wajud ko ghar ghar liye phira ek roz bhi na aaya koi haal puchhne main apna haal-e-zar barabar liye phira lo ahl-e-kosh ho gae manzil se ham-kanar kam-kosh sirf apna muqaddar liye phira 'aqib' zamin tang hui hum pe dekhiye har shakhs mere waste patthar liye phira