ye kah do to duniya wale nile pile hote hain is duniya ke sanp-sanpole sab zahrile hote hain ai mere mahbub bata ye husn ki rangat kitne din patjhad mein girne se pahle patte pile hote hain khud hi rakh dete hain bande sar jin ki talwaron par jaane ye kya baat hai un ke nain hatile hote hain tishna ya sairab ho rindo maikhane ki khair manao ashkon se ya mai se apne hont to gile hote hain naz ka un ke jo aalam hai kaun sune aur kaun kahe ek pal darshan dene ko bhi lakhon hile hote hain dil le kar jo gham dete hain ulfat ke diwanon ko pahle pahle ye zalim kitne sharmile hote hain mit unhin ke hote hain sab jit unhin ki hoti hai is duniya mein jin logon ke pas wasile hote hain nafrat ki khu ho ya jin se nakhwat ki si bu aae kadwi hoti hain baaten wo bol kasile hote hain 'manzil' kis ke pyar ki sardi garmi mujh par guzri hai raaten aag lagati hain aur din barfile hote hain