ai ham-nafas us zulf ke afsane ko mat chheD

ai ham-nafas us zulf ke afsane ko mat chhed
bas silsila jumban na ho diwane ko mat chhed

jis rang se hai dil mein mere ishq rukh-e-yar
naseh na ho diwana pari-khane ko mat chhed

wo sham-e-majalis to hai fanus mein raushan
ai ishq tu mujh sokhta parwane ko mat chhed

to aap hai paiman-shikan is daur mein saqi
kahta hai mujhe bazm mein paimane ko mat chhed

tarwar se kya hum ko daraata hai miyan ja
yan aap se maujud hain mar jaane ko mat chhed

hamdam na kah us waqt ki bose ki talab kar
majlis mein mujhe galiyan dilwane ko mat chhed

manzur agar chhed hansi ki hai to pyare
hote 'muhib' apne ke to begane ko mat chhed


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close