jab pari-ru hijab karte hain dil ke darpan kun aab karte hain gardish-e-chashm ka dikha yak daur hum kun mast-e-sharab karte hain aatish-e-ishq ki agan sun jala aashiqan kun kabab karte hain tab dikhla jamal-e-raushan ka aarsi gharq-e-ab karte hain bait-e-abru pe til sun kajal ke nuqta-e-intikhab karte hain araq-e-gul-rukhan ko dekh ushshaq mail itr-e-gulab karte hain dekh us ke hina kun mardum-e-chashm khun-e-dil sun khizab karte hain sun sukhan-dan teri ghazal 'daud' aafrin kar khitab karte hain