ai ham-nafaso dard ki ye raat kadi hai sar thame hue dil mein kahin aas khadi hai ham-rang-e-shafaq hai dil-e-masum ka aalam wo daur-e-tamanna ki sahar chup ke khadi hai ujli thi teri yaad ki ye zard si patti khakistar-e-ayyam mein khamosh padi hai un aankhon mein phir dekha haya rang-e-tabassum raste mein qaza se meri phir aankh ladi hai phir dast-e-saba ne wo gajar aaj bajaya palkon pe phir ek bar meri nind udi hai phir shahr-e-ghazalan mein ghazal laya hai 'qaisar' surat-kada-e-husn mein phir dhum padi hai