ishq ki baat wafaon ki kahani rakh de ho gai aaj har ek rasm purani rakh de muntazir hai meri peshani kisi suraj ki apne honton se jo tu ek nishani rakh de guftugu meri mera dost samajhta hi nahin us ke dil mein mere lafzon ke maani rakh de wo bhi sairab hon sadiyon se jo pyase hi rahe khushk sahraon mein dariyaon ka pani rakh de main 'sharar' bolun to aiwan-e-siyasat jal jae mere alfaz mein wo shoala-bayani rakh de