ai ham-nashin khuda ke liye imtihan na kar tu mere pas meri hikayat bayan na kar zinda hai rah-e-yar mein ai dil jo mar gaya parwana-war jaan fida kar fughan na kar shadi ke baad de na khudaya kisi ko gham dena ho jis ko gham to use shadman na kar mitti mein mil chuki hain bahut aisi suraten itna ghurur-e-husn tu o naujawan na kar 'nayab' ji mein soch kahan tak ye zindagi auron ke nafa ke liye apna ziyan na kar