ai ham-safar ye rah-bari ka guman chhod kis ne kaha hai tujh se qadam ke nishan chhod phir dekh zindagi ke maze tajrabon ke rang bahar qadam nikal zara saeban chhod ab dosti nahin na sahi dushmani sahi koi to rabte ki kadi darmiyan chhod us ki wafaen sirf hawaon ke sath hain ye etimad-e-dosti-e-baadban chhod talwar ki zaban samajhne lage hain log ab ye mahatmaon ka tarz-e-bayan chhod jo tere sar-parast the kab ke chale gae firqa-parasti tu bhi ye hindostan chhod baqi jo bach rahe hain wo circus ke sher hain murda hua ye dasht shikari machan chhod