tamam shahr mein koi bhi ru-shanas na tha

tamam shahr mein koi bhi ru-shanas na tha
khata yahi thi ki lahja pur-iltimas na tha

phir us ne kis liye rakkhe hawa pe apne qadam
wo gard gard tha sukhe labon ki pyas na tha

main apne aap luta aasman ki khwahish se
zamin ka chehra meri nind se udas na tha

ye kis ne aankh ko nanga kiya hai dariya mein
mahakti ret pe koi bhi be-libas na tha

udas ho ke saja carnas ke patthar par
zamin pe tut ke girta main wo glass na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close