ai ham-safaro kyun na naya shahr basa len apne hi usul apni hi aqdar bana len jin logon ne ab tak mere honton ko siya hai sozan se meri soch ka kanta bhi nikalen barfon pe alaw nahin lagte hain to yaro bujhti hui qindil se qindil jala len kahne ko to bazar ki hum jins-e-giran hain lekin hamein kaudi pe kharidar utha len bojh apna bhi hum se to uthaya nahin jata aur aap musir aap ka bhi bojh utha len