aks jal jaenge aaine bikhar jaenge khwab in jagti aankhon mein hi mar jaenge hum ki dil-dada kahan raunaq-e-bazar ke hain be-niyazana hi duniya se guzar jaenge jin ko dastar ki khwahish hai unhen kya malum marka ab ke wo thahra hai ki sar jaenge koi manzil nahin raste hain faqat chaaron taraf jo nikal aae hain ghar se wo kidhar jaenge dekh aa kar ki tere hijr mein bhi zinda hain tujh se bichhde the to lagta tha ki mar jaenge hum ki sharminda-e-asbab nahin hone ke hukm jab hoga to be-rakht-e-safar jaenge hum se dariya jo gurezan hai to hum bhi ek din kisi tapte hue sahra mein utar jaenge hum ko dariya se na maujon se na kashti se gharaz ab ke us par hamein le ke bhanwar jaenge