ai hazrat-e-isa nahin kuchh ja-e-sukhan ab wo aa gae rakhwaiye tah kar ke kafan ab sincha gaya phula hai nae sar se chaman ab ashkon ne kiye sabz mere dagh-e-kuhan ab wo shauq-e-asiri khule gesu ke shikan ab tarsenge qafas ke liye murghan-e-chaman ab khamoshi ne madum kiya aur dahan ab tum hi kaho baqi rahi kya ja-e-sukhan ab yaran-e-watan ko hai gharibon se kinara ghurbat ka taqaza hai karo tark-e-watan ab sun lijiye kuchh qissa-e-betabi-e-dil ko jo ji mein ho kah lijiye phir mushfiq-e-man ab simab banaya but-e-hijran ne jigar ko dil thaharne deti nahin sina ki jalan ab aakhir koi had bhi teri ai duri-e-ghurbat mayus hue jate hain yaran-e-watan ab kya fikr hai ai 'shola' piyo baada-e-rangin dalo bhi kahin bhad mein ye ranj-o-mehan ab