bhul bhi jaen tujhe zakhm purana bhi to ho ji bhi len jine ko jine ka bahana bhi to ho hum ne sikha hi nahin tark-e-murawwat ka sabaq baat badhti hai magar baat badhana bhi to ho ab ke maqtal ko kisi mele ki zinat kar do phir tamasha jo saje sath zamana bhi to ho dasht-dar-dasht sahi aabla-pai hi sahi aur masafat hi sahi koi thikana bhi to ho aao yaran-e-jafa! zakhm kuredo dil ke bazm-e-yaran hai zara jalna-jalana bhi to ho shab ki zulmat ki qasam shab mein ujala kar den hum charaghon sa jalen to kahin aana bhi to ho hum jo chahen to tera naqsh mita den dil se han magar dil se tera naqsh mitana bhi to ho hum ko maslub karo lasha jala do chahe qabl-e-tazir koi sunna-sunana bhi to ho shah ji raat gae der gae tak bhatko kaisi takhir kahin laut ke jaana bhi to ho