ai ishq is qafas se mujhe ab rihai de dekhun jidhar mujhe tera jalwa dikhai de shahar-e-shab-e-firaq ke gahre sukut mein apni sada mujhe bhi kabhi to sunai de yaad-e-habib mujh ko bhi ab mujh se kar juda mujh ko hujum-e-dard mein meri ikai de kab se main khamushi ke nagar mein muqim hun lekin ye kaun hai jo yahan bhi sunai de zulmat-zadon ko jada-o-manzil ki kya khabar tarik raston mein bhala kya sujhai de qatre mein maujzan hai samundar hi har jagah ab wo mujhe faraaz-e-ufuq tak rasai de maqtal mein kaise chhod ke rahen badal gaya yarab kisi sanam ko na aisi khudai de