mata-e-dard maal-e-hayat hai shayad

mata-e-dard maal-e-hayat hai shayad
dil-e-shikasta meri kaenat hai shayad

bas ek naqab thi wo subh-e-nau ke chehra par
hum is fareb mein uljhe ki raat hai shayad

khirad ki had bhi mili hai junun par aa kar
junun qahr-e-khirad se najat hai shayad

ye ek khalish ki musalsal sata rahi hai mujhe
ki lab wo kanpe hain kyun koi baat hai shayad

unhen guman ki mujhe un se rabt hai 'salim'
mujhe ye wahm unhen iltifat hai shayad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close