ai ishtiyaq-e-did bata aaj kya karen un se nazar churaen ki hum samna karen un se kaho ki farz-e-rifaqat ada karen mere junun pe ahl-e-khirad tabsira karen un doston ki hum pe inayat na puchhiye wo waqt aa pada hai ki dushman dua karen faiz-e-junun se dar ki manzil tak aa gae ab apne qafile ka kise rahnuma karen ahl-e-talab ba-zauq-e-talab rah-e-ishq mein har intiha ke baad nai ibtida karen kab tak main intizar karun daur-e-hijr mein ummid ke charagh kahan tak jala karen wo mere dil pe barq-e-tabassum gira chuke ab un ko kya hazar fasane bana karen phir kyon nigah-e-barq tawajjoh kare idhar mauj-e-bahaar se jo nasheman jala karen 'shahid' hum aaj hazrat-e-naseh se puchh len dil ka kaha karen ki tumhaara kaha karen