jab tu hi kahin be-sar-o-saman paDa hai

jab tu hi kahin be-sar-o-saman pada hai
be-kar teri chah mein insan pada hai

phir kis ki zarurat mujhe dasti hai shab-o-roz
ab dil mein mere kaun sa arman pada hai

diwar mein dar karke bahut khush to hua main
kambakht abhi rakhna-e-dalan pada hai

mujh zarra-e-na-chiz ki auqat hi kya hai
qadmon mein tere waqt ka sultan pada hai

hone de mujhe wasl ki saat se baghal-gir
ladne ke liye hijr ka maidan pada hai

waqif hi nahin us ki kisi chaal se 'akhtar'
wo jis se mera wasta har aan pada hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close