ai jaan-e-jaan tere mizaj ka falak bhi khub hai thake thake se baam par hasin dhanak bhi khub hai ajib sehr hai tere huruf-e-pak-baz mein tere mizaj-e-shoala bar ki lapak bhi khub hai tere libas mein basi hain jaan-nawaz khushbuen masham-e-jaan hai itr-bez ye mahak bhi khub hai nahin hai mo'atabar jo apna wasf khud bayan kare ai jaan-e-e'tibar us pe tera shak bhi khub hai tujhe main manti hun hai tera shuur mo'atabar teri hasin fikr ki chamak damak bhi khub hai pasand hain nazar nazar ko jaan teri wajahaten malih rukh ki ye chamak namak damak bhi khub hai samaaton mein hone lagti hai ajib raushni teri sada-e-nur ki lapak jhapak bhi khub hai