chaaron or ab phul hi phul hain kya ginte ho daghon ko ho taufiq to dil se lagao in nau-rusta baghon ko jalte sahra ki maujon par girte-padte rah-raw hain chashma-e-azadi ke jo ab tak dhundh rahe hain suraghon ko baad-e-hawadis ke shahpar khud un ko rah dikhate hain waqt ke dhaare par chhoda hai hum ne aise charaghon ko kunj-e-qafas go kunj-e-qafas hai lekin ab ke bahaaran mein hum ne mahakta paya josh-e-tasawwur-e-gul se dimaghon ko subh-e-roz-e-adam-e-nau hai dhum machi hai ghar ghar mein sathiyo uttho subuhi se chalkaen bhar ke ayaghon ko