ai junun dasht mein diwar kahan se laun main tamasha sahi bazar kahan se laun yaad-e-ayyam ki kuchh sar mein samai thi hawa ab wo tuta hua pindar kahan se laun kis se puchhun ki mera haal-e-pareshan kya hai tujh ko ai aaina-bardar kahan se laun meri un aankhon ne jaise tujhe dekha hi nahin hae wo hasrat-e-didar kahan se laun in nigahon mein tarasne ki si kaifiyyat hai taqat-e-pursish-e-bimar kahan se laun ab mere kufr ko iman nahin kahta koi tujh ko ai chashm-e-taraf-dar kahan se laun tha ye ghar bab-e-dua misl-e-asar tera warud ab tujhe ai qadam-e-yar kahan se laun