log yak-rangi-e-wahshat se bhi uktae hain hum bayaban se yahi ek khabar lae hain pyas buniyaad hai jine ki bujha len kaise hum ne ye khwab na dekhe hain na dikhlae hain hum thake-haare hain ai azm-e-safar hum ko sambhaal kahin saya jo nazar aaya hai ghabrae hain zindagi dhundh le tu bhi kisi diwane ko us ke gesu to mere pyar ne suljhae hain yaad jis chiz ko kahte hain wo parchhain hai aur sae bhi kisi shakhs ke hath aae hain han unhin logon se duniya mein shikayat hai hamein han wahi log jo akasr hamein yaad aae hain is bayaban-e-dar-o-baam mein kya rakkha hai hum hi diwane hain sahra se chale aae hain