ai kahkashan-nawaz muqaddar ujal de meri taraf bhi ek sitara uchhaal de hum pure aaftab ke qabil nahin agar thodi si pili dhup hi aankhon mein dal de han kahte kahte gung na ho jae dil kahin yarab meri zaban ko tab-e-sawal de rogi hua hai dhup ko tarsa hua badan ai mamta suput ko ghar se nikal de koi to doston se mere dosti kare koi to mehrban ho balaon ko tal de tu lafz-gar to hai tujhe shair kahenge jab ek be-zaban harf ko naghme mein dhaal de bijli ka tir jaise dhanak ki kaman mein kya aur is shabab ki koi misal de 'baqar' is aaftab mein jauhar hai is qadar aa jae josh mein to samundar ubaal de