ab aa gaya hai jahan mein to muskuraata ja chaman ke phul dilon ke kanwal khilata ja adam hayat se pahle adam hayat ke baad ye ek pal hai use jawedan banata ja bhatak rahi hai andhere mein zindagi ki baraat koi charagh sar-e-rahguzar jalata ja guzar chaman se misal-e-nasim-e-subh-e-bahaar gulon ko chhed ke kanton ko gudgudata ja rah-e-daraaz hai aur dur shauq ki manzil garan hai marhala-e-umr git gata ja bala se bazm mein gar zauq-e-naghmagi kam hai nawa-e-talkh ko kuchh talkh-tar banata ja jo ho sake to badal zindagi ko khud warna nazhad-e-nau ko tariq-e-junun sikhata ja dikha ke jalwa-e-farda bana de diwana nae zamane ke rukh se naqab uthata ja bahut dinon se dil-o-jaan ki mahfilen hain udas koi tarana koi dastan sunata ja