ai kashmakash-e-ulfat ji saKHt pareshan hai

ai kashmakash-e-ulfat ji sakht pareshan hai
marne ki bhi hasrat hai jine ka ka bhi arman hai

sahil se nahin lagti gharqab nahin hoti
kashti hai thapedon mein ye bhi koi tufan hai

main kya meri ulfat kya tu aur mujhe puchhe
bas ai sitam-ara bas hasrat hai na arman hai

ye mauj-e-tabassum kya zalim ise dho degi
jo rang-e-pashemani chehra se numayan hai

maghrur-e-mohabbat hun khud meri nigahon mein
ye be-sar-o-samani raaz-e-sar-o-saman hai

is husn-e-mujassam ki sharmili adaon ka
ehsas-e-mohabbat bhi sharminda-e-ehsan hai

'manzur' use rukhsat kis dil se karunga main
dhadka hai yahi har dam jab se ki wo mehman hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close