barham-kun-e-dil yun kabhi barham na hua tha hairat-asar aisa mera aalam na hua tha un shokh nigahon ne tadap aur badha di allah abhi dard-e-jigar kam na hua tha ab bhi mujhe khuddari-e-jaanan mein nahin shak pahle bhi mera dil mutawahham na hua tha ai pir-e-mughan us ki baqa mein mujhe shak hai waqif asar-e-jam se kya jam na hua tha wo shokh mujhe dekh ke yun sharm se jhuk jae jis ka sar-e-maghrur kabhi kham na hua tha is kam-nigahi ne to mujhe mar hi dala aisa asar ai pursish-e-paiham na hua tha mashhur wo 'manzur' hai jis ke liye kal tak sarma-e-shohrat hi faraham na hua tha