ai katib-e-taqdir ye taqdir mein likh de bas us ki mohabbat meri jagir mein likh de de aisa junun jaisa diya qais ko tu ne mujh ko bhi isi halqa-e-zanjir mein likh de pane ka use khwab jo dekha hai hamesha wo khwab hi bas khwab ki tabir mein likh de dil aisa makan hai jo agar tut gaya to lag jaengi sadiyan nai tamir mein likh de milna hai agar khud se to phir der na karna kho jaane ka dar hota hai takhir mein likh de sachchai mera jurm hai aur kar-e-wafa bhi munsif hai to ye bhi meri tazir mein likh de likh de ki main 'ghaalib' ka muqallid hun ghazal mein phir nam mera mo'taqid-e-'mir' mein likh de