ek hawa aai hai diwar mein dar karne ko koi darwaza khula hai mujhe ghar karne ko dur sahra mein koi zulf si lahrai hai koi baadal sa uda hai mujhe tar karne ko nazar aai hai kisi chand ki parchhain si shab-e-hasti mein mere sath safar karne ko aa mujhe chhu ke hara rang bichha de mujh par main bhi ek shakh si rakhta hun shajar karne ko ai sadaf sun tujhe phir yaad dila deta hun main ne ek chiz tujhe di thi guhar karne ko