ai KHuda-e-pak rabb-e-zul-jalal

ai khuda-e-pak rabb-e-zul-jalal
zindagi ko maut ke dar se nikal

chhod ai neki-zada pichhli misal
jazba-e-neki bhi ab dariya mein dal

ek ajab si kaifiyat hai in dinon
na khushi hai aur na koi malal

zindagi tera muqaddar maut hai
roz hum karte hain teri dekh bhaal

ek to ye dozakh mila indhan talab
aur is par justuju rizq-e-halal

jis jagah par khatm hon sab raste
phir wahin se ek naya rasta nikal

ye bata rawaq ke mani hain kya
bhuk ki shiddat ye karti hai sawal

mere jaise shairon ki zindagi
na to mazi hai na mustaqbil na haal

zindagi mein sab ke sab uljhe hue
zindagi hai bhi bahut mushkil sawal

chhod de ab tir-o-tarkash chhod de
guftugu se masale ka hal nikal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close