ai khuda jab se ata ki tu ne peshani mujhe sar uthane mein hui hai kitni aasani mujhe apne dil mein hi basa rakkhi hai main ne kaenat koi kah sakta nahin ab naqsh-e-virani mujhe aise wahshat-nak manzar mujh mein aate hain nazar ab nahin hoti kisi par koi hairani mujhe sainkadon sadiyon se sahra ki sada ke sath hun ras aa sakti nahin dariya ki sultani mujhe us taraf hi chal padunga sochne ka kya maqam jis taraf le jaegi ye rah-e-anjaani mujhe