baDi udas hain shaMein tere visal ke baad

badi udas hain shamen tere visal ke baad
ki zakhm phir se ubhar aae indimal ke baad

tumhaari baat hi taslim ki bahar-surat
zamane bhar ke dimaghon ne qil-o-qal ke baad

kahan hun kaun hun kaisa hun main kahan ka hun
koi khayal na aaya tere khayal ke baad

hui nasib na izzat hayat mein jis ko
saja hua tha wahi ghar mein intiqal ke baad

bhula sakegi na suraj ki dastan zamin
gaya hai khema-e-shab mein wo kis kamal ke baad

khamoshiyon ki zabanen hain surkh aankhon mein
ajib tarz-e-takallum hai ek sawal ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close