ai khwab-e-dil-nawaz na aa kar sata mujhe hai nind aai tut kar baad-az-qaza mujhe main to jabin-e-shauq par likhta gaya use wo bhi nigah-e-naz se padhta raha mujhe us ki khiram-e-naz pe marte rahe sabhi lekin nuqush-e-lal mein dekha gaya mujhe wo zam hue kuchh aise meri kaenat mein wo hi milenge tum se jo doge sada mujhe ek phul aur khil gaya ahd-e-bahaar mein ek sang jab bhi tan ke mara gaya mujhe 'sarwar' ki ek baat ne bedar kar diya chehre pe sard aab ka chhinta diya mujhe