nim-jaan hun zindagi dud-e-charagh-e-kushta hai meri hasti surat-e-bud-e-charagh-e-kushta hai go hun muflis par hun apni tira-bakhti se nami mere ghar mein daulat-e-sud-e-charagh-e-kushta hai ho nahin sakta siyah-kari se main raushan-zamir dil mera ek zarf masud-e-charagh-e-kushta hai dekh kar parwanon ke par subh ko sabit hua ye bahaar-e-gulshan jud-e-charagh-e-kushta hai ai 'shagufta' mujh ko piri mein ye misra yaad hai bud apni wahm-e-na-bud-e-charagh-e-kushta hai