ai ku-e-yar tere zamane guzar gae

ai ku-e-yar tere zamane guzar gae
jo apne ghar se aae the wo apne ghar gae

ab kaun zakhm o zahr se rakkhega silsila
jine ki ab hawas hai hamein hum to mar gae

ab kya kahun ki sara mohalla hai sharmsar
main hun azab mein ki mere zakhm bhar gae

hum ne bhi zindagi ko tamasha bana diya
us se guzar gae kabhi khud se guzar gae

tha ran bhi zindagi ka ajab turfa majra
yani uthe to panw magar 'jaun' sar gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close