ai maqsad-e-hayat mujhe rasta dikha

ai maqsad-e-hayat mujhe rasta dikha
sun le guzarishat mujhe rasta dikha

sadiyon se meri zat ke andar chhupi hui
kahne lagi hai raat mujhe rasta dikha

dil hai ya koi sang-sifat aaina hai ye
tute ye somnat mujhe rasta dikha

dil hai tumhaare khwab ki aaghosh mein kahin
mahw-e-tasawwuraat mujhe rasta dikha

ab tak to aa gaya hun sahaara liye baghair
aage hain mushkilat mujhe rasta dikha

bakhsho meri hayat ko ek rasta naya
ya phir nai hayat mujhe rasta dikha

'babar' ulajh gaya hai tumhaari talash mein
ai rabb-e-kainat mujhe rasta dikha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close