ye kya ki faqat apni hi taswir banao

ye kya ki faqat apni hi taswir banao
ai naqsh-garo wusat-e-fan kuchh to dikhao

khulta nahin kya lala-o-gul soch rahe hain
kuchh tum hi kaho fasl-e-bahaaran ki hawao

chha jae na ehsas pe zulmat shab-e-gham ki
yaro dil-e-sozan ki na qindil bujhao

har subh mere khwab se gul-guna talab hai
har sham ko zid hai ki mujhe ghaza lagao

rangin hai daman-e-sahar kis ke lahu se
khamosh ho kyon dar-o-rasan kuchh to batao

ye farsh-nashin arsh-nashin to nahin 'shibli'
sar dil ki bulandi hai na qadmon pe jhukao


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close