ai masiha-dam tere hote hue kya ho gaya baithe-bithlae mariz-e-ishq thanda ho gaya yun mera soz-e-jigar duniya mein ruswa ho gaya sher-o-naghma rang-o-nikhat jam-o-sahba ho gaya chaaragar kis kaam ki bakhiya-gari teri ki ab aur bhi chaak-e-jigar mera huwaida ho gaya hai teri zulf-e-pareshan ya mari diwangi jo tamasha karne aaya khud tamasha ho gaya hae ye taza hawa gulshan mein kaisi chal padi bulbul-e-bagh-o-bahaaran ru-ba-sahra ho gaya umr-bhar ki mushkilen pal bhar mein aasan ho gain un ke aate hain mariz-e-ishq achchha ho gaya kya mere zakhm-e-jigar se khil uthi hai chandni kin charaghon se zamane mein ujala ho gaya har tarah mayus aur mahrum ho kar pyar se jis ke tum pyare the wo maula ko pyara ho gaya hum gunahgaron ki laghzish hashr mein kaam aa gai chashm-e-nam ka daman-e-tar ko sahaara ho gaya ek meri shakh-e-nasheman phunkne ke waste kis ki kaj-fahmi se ghar-bhar mein ujala ho gaya ab shafaq ya abr ka 'gulzar' kyun ho intizar un ki aankhon se jo pine ka ishaara ho gaya