aise mein roz roz koi dhundta mujhe aawaz de rahi thi udhar ki hawa mujhe aisa hua ki ghar se na nikla tamam din jaise ki khud se aaj koi kaam tha mujhe parde ke aas-pas koi bagh hi na ho khidki khuli to phul ka dhoka hua mujhe ye ped jis pe phul na patti na tahniyan das bis sal baad jo khud sa laga mujhe main aaj bhi wahi hun wafa thi jise aziz fursat mile to aa ke kabhi dekh ja mujhe aankhon mein dil utar pada aaina dekh kar aaya tha ek khayal bahut dur ka mujhe ye fikr aa padi hai ki badle gae na hon sae se kah raha hun zara dekhna mujhe kahte hain yar-dost agar bewafa kahen ai 'ashk' aansuon ne bhi kya de diya mujhe