ai mauja-e-sarab tu phankegi kitni KHak

ai mauja-e-sarab tu phankegi kitni khak
mujh ko dubone ke liye chhanegi kitni khak

bach jae musht-bhar sahi dafnane ke liye
mauj-e-bala-e-ishq mein dubegi kitni khak

kitne hasin khwab taraste hain did ko
aaina-e-jamal pe baithegi kitni khak

jis ke dar-o-daricha-o-diwar hain tabah
is khana-e-sukut ko puchhegi kitni khak

koi to chahiye hadd-e-khsuh-fami-e-fareb
duniya tu meri aankh mein jhonkegi kitni khak

kyun jhuk gai hai bojh se tu aasman ke
ab sar utha ai zindagi chategi kitni khak

malan gulab dafn bhi gul-dan mein hue
bhar bhar ke mutthiyan abhi dalegi kitni khak

kab tak 'shafaq' chalegi ye aandhi malal ki
mere udas baam pe barsegi kitni khak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close