tere jahan se alag ek jahan chahta hun nai zamin naya aasman chahta hun badan ki qaid se bahar to ja nahin sakta isi hisar mein rah kar udan chahta hun khamosh rahne pe ab dam sa ghutne lagta hai mere khuda main dahan mein zaban chahta hun koi shajar hi sahi dhup se najat to ho ye tum se kis ne kaha saeban chahta hun ye tukda tukda zaminen na kar ata mujh ko main pure sahn ka pura makan chahta hun phir ek bar meri ahmiyat ko lauta de teri nigah ko phir mehrban chahta hun meri talab koi dushwar-kun nahin 'azar' isi zamin pe hifz-o-aman chahta hun