ai maut tujh pe umr-e-abad ka madar hai tu e'tibar-e-hasti-e-be-e'tibar hai ahd-e-azal pe zindagiyon ka madar hai aalam tamam gham-kada-e-e'tibar hai zarraat-e-chashm-e-shauq hain aamada-e-nigah mahrumiyon ko ab bhi tera intizar hai bedad ka gila to karun aur jo wo kahen ye kahiye imtihan-e-wafa nagawar hai ek ye wafa ki nang-e-gham-e-dost hai hunuz ek wo sitam ki husn ka aaina-dar hai tamiz-e-husn-o-ishq na irfan-e-gham magar ek tir-e-be-panah kaleje ke par hai mukhtar hun ki mo'tarif-e-jabr-e-dost hun majbur hun ki ye bhi koi ikhtiyar hai ab kis ko e'tibar ki tu bewafa nahin ab kis ko intizar magar intizar hai baqi nahin kisi ko nashat-e-junun ka hosh kis josh par shabab-e-gham-e-rozgar hai aadab-e-ashiqi ka taqaza hai aur baat tu warna dil ki aad mein khud be-qarar hai hogi kisi ko fursat-e-nazzara-e-jamal 'fani' kharab-e-husn tamasha-e-yar hai