dhate hain ab wo zulm-o-sitam kam bahut hi kam yani hai un ka lutf-o-karam kam bahut hi kam jis rah mein hain ranj-o-alam kam bahut hi kam uthte hain us pe mere qadam kam bahut hi kam is se murad ye to nahin dil hai mutmain mana hai meri aankh mein nam kam bahut hi kam ai dost aur hai tera dil aur hi zaban ab tujh ko munh lagaenge hum kam bahut hi kam fard-e-gunah dekh ke yarab saza na de niyyat meri hai is mein raqam kam bahut hi kam haq-go ki baat baat ko izhaar-e-haq samajh khae agar khuda ki qasam kam bahut hi kam rindon ke dam se shaikh hua chand id ka aata hai waz karne ko kam kam bahut hi kam ab faqa-mastiyon se ye aadat si ho gai khata hun rizq ki bhi qasam kam bahut hi kam saqi ki chashm-e-mast ki hai baat hi kuchh aur hai us ke aage baada-e-jam kam bahut hi kam ai qais agar zamin-e-ghazal ho na sanglakh chalta hai us mein pa-e-qalam kam bahut hi kam