ai mere ishq mujhe aur be-qarar na kar wo bewafa hai mohabbat ki had ko par na kar baghaur dekh mujhe tu ai sang-dil duniya main ek phul hun is tarah sangsar na kar wo bewafa hai nahin jab use koi parwah to apne zehn pe tu bhi use sawar na kar ajab ye dil hai nahin manta mera kahna main us se roz ye kahta hun intizar na kar main aaj us ke khayalon mein jina chahta hun ki aaj mujh ko pareshan mere yar na kar ghamon se chaak gareban hai ai sharar 'naqwi' koi ye us se kahe aur tar tar na kar