ajib rahguzar hai bahut akela hun

ajib rahguzar hai bahut akela hun
mujhe bhatakne ka dar hai bahut akela hun

koi nazar nahin aata hai ham-mizaj mujhe
yahi to dard-e-jigar hai bahut akela hun

wo ek shakhs jo bichhda hai ek zamane se
use bhi is ki khabar hai bahut akela hun

ye aur baat khada hun hazaron logon mein
yaqin dil ko magar hai bahut akela hun

wo dekh phir se gulistan ka aa gaya mausam
meri bahaar kidhar hai bahut akela hun

main puchhta hun ye tanhai se ‘sharar-naqwi'
ye aib hai ki hunar hai bahut akela hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close