ai musafir mera kahna yaad rakh lut na jae shahr-e-dil aabaad rakh soch ko ehsas par ghaalib na kar zindagi ko khauf se aazad rakh zindagi ki chahaten ranaiyan tu hamesha apne dil ko shad rakh zulm ka byopar chal sakta nahin dhyan itna ai sitam-ijad rakh dhang aa jaega jine ka tujhe dubte suraj ka manzar yaad rakh main badal dunga zamane ka mizaj pahle tu sachchai ki buniyaad rakh