didani jism-o-jaan ka rishta hai ye samundar bhi kitna gahra hai ghar ho ya ho nagar bahar-surat aadmi to safar mein rahta hai log to ajnabi nahin lekin rasta ajnabi sa lagta hai samne sar-phiri hawaon ke kab kisi ka charagh jalta hai dhundhti hain tujhe meri aankhen jab koi qafila guzarta hai log to aaine se darte hain aaina kab kisi se darta hai koi aalam ho in dinon 'akhtar' ek chehra nazar mein rahta hai