ai nama-bar ulfat ka asar hai ki nahin hai jo haal idhar hai wo udhar hai ki nahin hai aasar to achchhe nahin ai sham-e-judai kya jaaniye qismat mein sahar hai ki nahin hai ab zikr hi kya dard ka ai chashm-e-fusun-saz ye bhi nahin malum jigar hai ki nahin hai wo kya hai kahan hai ye pata puchhne wale pahle ye bata apni khabar hai ki nahin hai didar mubarak magar ai shauq-e-nazara guzri thi jo kal pesh-e-nazar hai ki nahin hai kya kam hain jafaon se lagawat ki adaen ye zulm ba-andaz-e-digar hai ki nahin hai 'nawwab' gham-e-ishq samaega kahan ab kuchh shisha-e-dil ki bhi khabar hai ki nahin hai