aks-e-nairangi-e-jahan hain hum

aks-e-nairangi-e-jahan hain hum
ek be-rabt dastan hain hum

kar diya gum teri nigahon ne
teri mahfil mein ab kahan hain hum

husn-e-zan phir kisi se kya rakkhen
apne saya se bad-guman hain hum

raat-din nit nae hain andeshe
aur un sab ke darmiyan hain hum

kuchh jo hote to phir khuda hote
kuchh na ho kar bhi ek jahan hain hum

ye na samjhe fareb-e-hasti mein
phir adam ki taraf rawan hain hum

aa bhi jao ki puri ho jae
na-mukammal si dastan hain hum

aatish-e-shauq sard hai 'nawwab'
the kabhi shoala ab dhuan hain hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close