ai nasim-e-sahari hum to hawa hote hain dam jo ghutta hai mohabbat mein khafa hote hain hum faqirana ghazal kahte hain ai shah-e-jahan khair ho khair ho masruf-e-dua hote hain bahr-e-alam mein ye insan hain manind-e-habab dam mein bante hain ye dam-bhar mein fana hote hain hum gharibon ko na is bazm se uthwa ai but sohbat-e-am mein khasan-e-khuda hote hain hum mein aur un mein badha rabta 'akhtar' itna hum pe wo sadqe hain hum un pe fida hote hain